अनबुझी प्यास
मैं एक छोटे से टापू में रहता हूँ
टापू के दोनों तरफ़ दो नदिया बहती हैं
और वोः दोनों नदियाँ मेरा जीवन और मेरा प्यार हैं
मेरे जीने का मकसद और वजह हैं
उन दोनों से मेरा प्यार सदियों पुराना है
और बीतते समय के साथ बढ़ता ही जाता है
और मेरा अनुमान है की वोः दोनों भी मुझे उतना ही प्यार करती हैं
जितना मैं उनसे करता हूँ
शायद मुझसे भी ज़्यादा……
वोः दोनों मुझसे कुछ कहती नहीं हैं
अपने प्यार का इज़हार कभी करती नहीं हैं
मगर आँखों की जुबान होटों की जुबान से ज़्यादा बोलती हैं
मैं बड़ी खुशी से इस टापू पर दोनों के साथ रहता हूँ
सुबह से शाम तक इनके मीठे और निर्मल
जल को इठलाता और बहता हुआ देखता हूँ
लेकिन जब भी मुझे प्यास लगती है
मैं उनके जल को देख तो सकता हूँ
पर छू कर अपने होटों तक नहीं ले जा सकता
और मेरी प्यास अधूरी ही रह जाती है
और इसके बारे में दोनों से कुछ कह भी नहीं सकता
और यह मैं यह अच्छी तरह जनता हूँ की
अगर एक के जल को सिर्फ़ छु भी लूँ
तो वोः अदृश्य हो जायेगी
उसका वजूद ही मिट जाएगा
मैं दूर से प्यार भरी नज़रों से उसे देख तो सकता हूँ
पर उसे स्पर्श कर उसके जल से अपनी प्यास नहीं बुझा सकता
दूसरी नदी यूँ तो ऐसा लगता है मेरे बहुत करीब है
लेकिन उस में और मुझे में काफी फासला है
और उस फासले के बीच में रासता रोके कई पर्वत और घाटियाँ हैं
एक दिन मेरे कदम उस नदी की तरफ़ उस से मिलने चल पड़े
सारी मुश्किलों और रुकावटों को चीरते हुए
वोः उसके पास पहुचे और अपने को उस के नज़दीक पा कर
मेरी अनबुझी प्यास को ऐसा लगा की आज उसके जीवन का
आखरी लम्हा आ पंहुचा है
उसे आलिंगन करने के लिए जैसे ही मैंने अपना आखरी कदम बढाया
तो मैंने पाया की उसने अपने चारों तरफ़
शायद अपने कोमल दिल को सम्भाल कर रखने के लिए
बहुत सारी दीवारें खड़ी कर रक्खी हैं
मैंने उन दीवारों को तोड़ कर उसके पास जानें की कोशिश की
तो कहीं से मुझे उसके सिसकने की आवाज़ आई
और मैंने उसकी तरफ़ अपने बढ़ते हुए कदमों को रोक लिया
अब मैं पल पल उस घड़ी का इन्तेज़ार करता हूँ
जब वोः बाहें फैलाये इन दीवारों को तोड़ कर
मुझे अपनी आगोश में समां लेगी
और वोः दिन मेरी अधूरी प्यास का आखरी दिन होगा.
शायद वोः दिन मेरे जीवन में कभी नहीं आएगा
और मुझे अपनी इस अधूरी प्यास के साथ ही जला दिया जाएगा.
लेकिन चाहे जो भी हो इस बात का मुझे पूरा यकीन है की एक दिन
यह टापू नहीं रहेगा और उसके चले जाने से
दोनों नदियों का जल एक दूसरे से मिल कर एक हो जाएगा
और फिर मेरी अधूरी प्यास इस जल के संगम में डूब कर मिट जायेगी
इस संगम में एक होकर हम इस हकीकत और सच्चाई को जान
सकेंगे की हम कभी जुदा थे ही नहीं, हम में कोई दूरी थी ही नहीं,
हम हमेशा से एक थे और एक दूसरे के बिना हमारा कभी कोई वजूद
था ही नहीं और एक दूसरे के बिना हमारा कभी
भी कोई वजूद हो भी नहीं सकता.
UNBUJHI PYAAS
MAIN EK CHHOTE SE TAPU MEIN REHTA HOON
TAPU KE DONO TARAF DO NADIYA BEHTI HAIN
AUR WOH DONO NADIYAN MERA JEEVAN AUR MERA PYAR HAIN
MERE JEENE KA MAQSAD AUR WAJAH HAIN
UN DONO SE MERA PYAR SADIYON PURANA HAI
AUR BITTE SAMAY KE SAATH BADHTA HI JATA HAI
AUR MERA ANUMAAN HAI KI WHO DONO BHI MUJHE UTNA HI PYAR KARTI HAIN
JITNA MAIN UNSE KARTA HOON
SHAYAD MUJHSE BHI ZYADA……
WOH DONO MUJHSE KUCHCH KEHTI NAHIN HAIN
APNE PYAR KA IZHAAR KABHI KARTI NAHIN HAIN
MAGAR ANKHON KI ZUBAN HOTON KI ZUBAN SE ZYADA BOLTI HAIN
MAIN BADI KHUSHI SE IS TAPU PAR DONO KE SAATH REHTA HOON
SUBAH SE SHAM TAK INKE MEETHE AUR NIRMAL
JAL KO ITHLATA AUR BEHTA HUA DEKHTA HOON
LEKIN JAB BHI MUJHE PYAAS LAGTI HAI
MAIN UNKE JAL KO DEKH TO SAKTA HOON
PAR CHHU KAR APNE HOTON TAK NAHIN LE JA SAKTA
AUR MERI PYAAS ADHURI HI REH JAATI HAI
AUR ISKE BAARE MEIN DONO SE KUCHH KEH BHI NAHIN SAKTA
MAIN YEH ACHCHI TARAH JANTA HOON
AGAR EK KE JAL KO SIRF CHOO BHI LOON
TO WOH ADRISHYA HO JAYEGI
USKA WAJOOD HI MIT JAYEGA
MAIN DOOR SE PYAR BHARI NAZRON SE USE DEKH TO SAKTA HOON
PAR USE SPARSH KAR USKE JAL SE APNI PYAAS NAHIN BHUJA SAKTA
DOOSRI NADI YUN TO AISA LAGTA HAI MERE BAHUT KAREEB HAI
LEKIN US MEIN AUR MUJHE MEIN KAFI FAASLA HAI
AUR US FAASLE KE BEECH MEIN RAASTA ROKE KAI PARVAT AUR GHATIYAN HAIN
EK DIN MERE KADAM US NADI KI TARAF US SE MILNE CHAL PADE
SAARI MUSHKILON AUR RUKAWATON KO CHEERTE HUE
WOH USKE PAAS PAHUCHE AUR APNE KO US KE NAZDEEK PA KAR
MERI UNBUJHI PYAAS KO AISA LAGA KI AAJ USKE JEEVAN KA
AAKHRI LAMHA AA PAHUCHA HAI
USE ALINGAN KARNE KE LIYE JAISE HI MAINE APNA AAKHRI KADAM BADHAYA
TO MAINE PAYA KI USNE APNE CHARON TARAF
SHAYAD APNE KOMAL DIL KO SAMBHAL KAR RAKNE KE LIYE
BAHUT SAARI DEEWAREN KHADI KAR RAKHI HAIN
MAINE UN DEEWARON KO TOD KAR USKE PAAS JAANEN KI KOSHISH KI
TO KAHIN SE MUJHE USKE SISAKNE KI AAWAZ AAYI
AUR MAINE USKI TARAF APNE BADHTE HUE KADAMON KO ROK LIYA
AB MAIN PAL PAL US GHADI KA INTEZAAR KARTA HOON
JAB WOH BAHEN PHAILAYE IN DEEWARON KO TOR KAR
MUJHE APNI AAGOSH MEIN SAMA LEGI
AUR WOH DIN MERI ADHURI PYAAS KA AAKHRI DIN HOGA.
SHAYAD WOH DIN MERE JEEVAN MEIN KABHI NAHIN AAYEGA
AUR MUJHE APNI IS ADHURI PYAAS KE SAATH HI JALA DIYA JAYEGA.
LEKIN CHAHE JO BHI HO IS BAAT KA MUJHE POORA YAKIN HAI KI EK DIN
YEH TAPU NAHIN RAHEGA AUR USKE CHALE JAANE SE
DONO NADIYON KA JAL EK DOOSRE SE MIL KAR EK HO JAYEGA
AUR PHIR MERI ADHURI PYAAS IS JAL KE SANGAM MEIN DOOB KAR MIT JAYEGI
IS SANGAM MEIN EK HOKAR HUM IS HAQEEQAT AUR SACHCHAI KO JAAN
SAKENGE KI HUM KABHI JUDA THE HI NAHIN, HUM MEIN KOI DOORI THI HI NAHIN,
HUM HAMESHA SE EK THE AUR EK DOOSRE KE BINA HAMARA KABHI KOI WAJOOD
THA HI NAHIN AUR EK DOOSRE KE BINA HAMARA KABHI
BHI KOI WAJOOD HO BHI NAHIN SAKTA.
No comments:
Post a Comment